meI nay bohat arsa say facebook par or facebook k elaawa bhi bohat say bhaeyon or bheno ki ye soch dekhi hai key hadia lena jaali or 2 num aamleen logon k kaam hain hadia lena na jaaez hai or kuch aamleen log hadia lenay ki baat kartay hain to un aamleen logon ko ghalat nazar say dekha or socha jata hai
meray bhaeyo bheno or dosto aain or is baat ko Hadees Pak ki rosheni me dekhain
kia hadia lena ? jaaez hai ya na jaaez hai ?
/
Hazrat Abu Saeed Khzri R_A say rewaayat hai
jo Bukhari Shareef, MusLem Shareef, Termizi Shareef, Masand Ahmed, Abu Daud, Eban E Majah
me manqol hui hai
or us ki taaeed Bukhari Shareef me
Eban E Abas R_A ki rewayat bhi kartay hain
us me ye beyaan hua hai k
Huzoor S A W W nay aik moham par apnay chand As'haab ko bheja jan me Abu Saeed Khzri R_A bhi thay ye Hazraat raasta me arab k aik qabeelay ki basti par ja kar theray or unhon nay qabeelay walon say kaha k humaari mezbani karo unhon nay inkaar kar dia itnay me qabeelay k sardaar ko bechu nay kaat liya or wo log un musaaferon k pass aaye or kaha k tumharay pas koi dawa ya amal hai ?
jis say tum humaray sardaar ka elaaj karo ? Hazrat Abu Saeed R_A nay farmaya hai to sahi magar chunka tum nay humari mezbani say inkar ki hai is liye jab tak tum kuch dena na karo > yaani muaweza na do < hum us ka elaaj na karain gay unhon nay bakriyon ka aik rewarh > ba'az rewayaat hi hai 30 bakriyan denay ka waaeda kia < or Hazrat Abu Saeed Khzri R_A nay ja kar us par Surah Fatiha parhni shuroo kar ki or luaab dahan us par maltay gaye aakher kar bechu ka asar zaael ho gaya or qabeelay walon nay jetni bakriyan denay ka waaeda kia tha wo la kar day dain magar
un hazrat nay aapas me kaha in bakriyon say koi faaeda na uthao jab tak Hazrat RasooL S A W W say puch na liya jaye na maloom is kaam par ajar lena jaaez hai ya nahin ?
Chunacha ye log Huzoor S A W W ki khedmat me hazir hue or maajra arz kia Huzoor S A W W nay hans kar farmaya tumhain kesay maloom hua k ye Surah jhaarnay k bhi kaam aa sakti hai ? Bakriyaan lay lo or un me mera hesa bhi lagao Huzoor S A W W nay na sirf muaaweza lenay ko jaaez rakha balkay ye bhi farmaya k mera hesa bhi lagao taakay is ka jawaz or adam k muamela me in As'hab k dilon me koi shaba baaqi na rahay.
AMIL ABBAS SHAH
amilabbas786@gmail.com
No comments:
Post a Comment